Pata Kaise Chale Duniya Ko Qasr-e-dil Ke Jalne Ka
pata kaise chale duniya ko qasr-e-dil ke jalne ka
dhuen ko rasta milta nahin bahar nikalne ka
bata phulon ki masnad se utar ke tujh pe kya guzri
mera kya main to aadi ho gaya kanTon pe chalne ka
mere ghar se ziyaada dur sahra bhi nahin lekin
udasi nam hi leti nahin bahar nikalne ka
chaDhega zahr KHushbu ka use aahista aahista
kabhi bhugtega wo KHamyaza phulon ko masalne ka
musalsal jagne ke baad KHwahish ruTh jati hai
chalan sikha hai bachche ki tarah us ne machalne ka
zar-e-dil le ke pahuncha tha mata-e-jaan bhi kho baiTha
diya us ne na mauqa bhi kaf-e-afsos milne ka
KHushi se kaun karta hai ghamon ki parwarish 'sajid'
kise hai shauq logo dard ke sanche mein Dhalne ka
(1069) Peoples Rate This