Laga Di Kaghzi Malbus Par Mohr-e-sabaat Apni
laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni
bashar ke nam kar di hai KHuda ne kaenat apni
KHala ke aar bhi main hun KHala ke par bhi main hun
ubur ek pal mein karta hun hudud-e-mumkinat apni
jiyunga apni marzi se marunga apni marzi se
mere zer-e-tasallut hai fana apni hayat apni
likhi hai main ne apne hath par tahrir-e-ainda
meri apni wirasat hai qalam apna dawat apni
main KHud par aazmaunga KHud apna aaKHiri daw
KHabar hai mujh ko 'sajid' jit ban jaegi mat apni
(1788) Peoples Rate This