KHushk Uski Zat Ka Saton Samundar Ho Gaya
KHushk us ki zat ka saton samundar ho gaya
dhup kuchh aisi paDi wo shaKHs banjar ho gaya
aangan aangan zahr barsaegi us ki chandni
wo agar mahtab ki surat ujagar ho gaya
mere aadhe jism ki us ko lagegi bad-dua
kal KHabar aa jaegi wo shaKHs patthar ho gaya
kis ne apne hath se KHud maut ka katba likha
kaun apni qabr par ibrat ka patthar ho gaya
qurb jab had se baDha duri muqaddar ho gai
us ka milna bhi na milne ke barabar ho gaya
main ki bahar ki faza mein qaid tha jis ke sabab
aaj wo KHud jins ke pinjre ke andar ho gaya
muft mein taqsim ki 'sajid' mata-e-shaeri
jis ne apna qurb apnaya wo shaer ho gaya
(1094) Peoples Rate This