KHuda Ne Jis Ko Chaha Usne Bachche Ki Tarah Zid Ki
KHuda ne jis ko chaha us ne bachche ki tarah zid ki
KHuda baKHshish karega is liye iqbaal-'sajid' ki
gawahi dega ek din KHud mera munsif mere haq mein
dhari rah jaengi sari dalilen mere hasid ki
wahi jo pahle aaya tha wo sab ke baad bhi aaya
usi paikar ne to pahchan karwai hai mujid ki
jo mere dil mein thi us ne wahi tahrir pahunchai
ab us se baDh ke kya tarif ho sakti hai qasid ki
jo andar se nahin bahar se KHad-o-KHal manwae
par asal-e-aina surat ganwa deta hai qasid ki
hawale se jo manwae wo sachchai nahin hoti
qasam khata nahin hun is liye main rabb-e-wahid ki
(1261) Peoples Rate This