KHatm Raaton-raat Us Gul Ki Kahani Ho Gai
KHatm raaton-raat us gul ki kahani ho gai
rang bosida hue KHushbu purani ho gai
jis se raushan tha muqaddar wo sitara kho gaya
zulmaton ki nazr aaKHir zindagani ho gai
kal ujalon ke nagar mein hadsa aisa hua
chaDhte suraj par diye ki hukmarani ho gai
rah gai thi lal banne mein kami ek aanch ki
aankh se gir kar lahu ki bund pani ho gai
chilla-e-jaan par chaDha kar aaKHiri sanson ke tir
maut ki sarhad mein daKHil zindagani ho gai
KHauf ab aata nahin hai sipiyan chunte hue
dosti apni samundar se purani ho gai
kis jagah aaya hai tu aaankhon ke nilam bhul kar
gham kahan iqbaal-'sajid' ki nishani ho gai
(1041) Peoples Rate This