Kal Shab Dil-e-awara Ko Sine Se Nikala
kal shab dil-e-awara ko sine se nikala
ye aaKHiri kafir bhi madine se nikala
ye fauj nikalti thi kahan KHana-e-dil se
yaadon ko nihayat hi qarine se nikala
main KHun baha kar bhi hua bagh mein ruswa
us gul ne magar kaam pasine se nikala
Thahre hain zar-o-sim ke haqdar tamashai
aur mar-e-siyah hum ne dafine se nikala
ye soch ke sahil pe safar KHatm na ho jae
bahar na kabhi panw safine se nikala
(1530) Peoples Rate This