Ek Tabiat Thi So Wo Bhi La-ubaali Ho Gai
ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai
hae ye taswir bhi rangon se KHali ho gai
paDhte paDhte thak gae sab log tahriren meri
likhte likhte shahr ki diwar kali ho gai
bagh ka sab se baDa jo peD tha wo jhuk gaya
phal lage itne ki bojhal Dali Dali ho gai
ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar
lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai
khinch Dala aankh ne sab aasmanon par hisar
ban chuke jab daere parkar KHali ho gai
subh ko dekha to 'sajid' dil ke andar kuchh na tha
yaad ki basti bhi raaton-raat KHali ho gai
(1021) Peoples Rate This