Dahr Ke Andhe Kuen Mein Kas Ke Aawaza Laga
dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga
koi patthar phenk kar pani ka andaza laga
zehn mein sochon ka suraj barf ki surat na rakh
kohr ke diwar-o-dar par dhup ka ghaza laga
raat bhi ab ja rahi hai apni manzil ki taraf
kis ki dhun mein jagta hai ghar ka darwaza laga
kanch ke bartan mein jaise surKH kaghaz ka gulab
wo mujhe itna hi achchha aur tar-o-taza laga
pyar karne bhi na paya tha ki ruswai mili
jurm se pahle hi mujh ko sang-e-KHamyaza laga
shahr ki saDkon par andhi raat ke pichhle-pahar
mera hi saya mujhe rangon ka shiraaza laga
jaane rahta hai kahan 'iqbaal-sajid' aaj kal
raat din dekha hai us ke ghar ka darwaza laga
(963) Peoples Rate This