Be-KHabar Duniya Ko Rahne Do KHabar Karte Ho Kyun
be-KHabar duniya ko rahne do KHabar karte ho kyun
dosto mere dukhon ko mushtahar karte ho kyun
koi darwaza na kholega sada-e-dard par
bastiyon mein shor-o-ghul sham o sahar karte ho kyun
mujh se ghurbat mol le kar kaun ghar le jaega
tum mujhe ruswa sar-e-bazar-e-zar karte ho kyun
aankh ke andhon ko kyun dikhlate ho parwaz-e-harf
kaghazon pe ab tamasha-e-hunar karte ho kyun
tazkira likhte ho kya meri shikast-o-reKHt ka
lafz ki basti mein mani ko khanDar karte ho kyun
dosto! binai baKHshegi tumhein un ki uDan
panchhiyon ko chhoD do be-baal-o-par karte ho kyun
lafz agar bote to phir fasl-e-maani kaTte
dosto! ab shikwa-e-ahl-e-hunar karte ho kyun
zalimon ke sath mil jao rahoge aish mein
umr 'sajid' kasmapursi mein basar karte ho kyun
(1161) Peoples Rate This