Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d5fb4830c9fb130aa0013f92520a23a4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Nigahon Ko Jab Badalte Hain - Iqbal Safi Puri Poetry In English - Darsaal

Wo Nigahon Ko Jab Badalte Hain

wo nigahon ko jab badalte hain

dil sambhaale nahin sambhalte hain

manzilen dur hain kabhi nazdik

har qadam fasle badalte hain

kaun jaane ki ek tabassum se

kitne mafhum-e-gham nikalte hain

na guzar itni kaj-rawi se ki log

tere naqsh-e-qadam pe chalte hain

aag bhi un gharon ko lagti hai

jin gharon mein charagh jalte hain

jab bhi uThti hai wo nazar 'iqbaal'

shama ki tarah dil pighalte hain

(1252) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Nigahon Ko Jab Badalte Hain In English By Famous Poet Iqbal Safi Puri. Wo Nigahon Ko Jab Badalte Hain is written by Iqbal Safi Puri. Read famous Poem Wo Nigahon Ko Jab Badalte Hain for youth and Student by Iqbal Safi Puri. Free Download Wo Nigahon Ko Jab Badalte Hain in PDF.