Daman-e-dil Hai Tar Tar Apna
daman-e-dil hai tar tar apna
kaam kar hi gai bahaar apna
jab se taskin de gaya hai koi
aur bhi dil hai be-qarar apna
dekh kar bhi unhen na dekh sake
rah gaya shauq-e-intizar apna
justuju aa gai sar-e-manzil
rah gaya rah mein ghubar apna
wo nazar phir gai to kya hoga
us nazar tak hai e'tibar apna
is ki har jumbish-e-nazar ke sath
ruKH badalti gai bahaar apna
har-nafas hai unhin ki yaad 'iqbaal'
gham hai kaisa sada-bahaar apna
(966) Peoples Rate This