Jis Ka Chehra Gulab Jaisa Hai
jis ka chehra gulab jaisa hai
us ka milna to KHwab jaisa hai
baat karta hun is liye un ki
baat karna sawab jaisa hai
mera jina teri judai mein
ek musalsal azab jaisa hai
nashsha us ki nashili aankhon ka
sab se achchhi sharab jaisa hai
haal us ka bhi aaj-kal yaro
dil-e-KHana-KHarab jaisa hai
ai 'payam' in ki chahaton ka payam
chahaton ki kitab jaisa hai
(1413) Peoples Rate This