Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc1d4202b69c7c5e1f11615671b8ea56, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Zamin Hum Ko Mili Bahte Hue Pani Ke Sath - Iqbal Naved Poetry In English - Darsaal

Ye Zamin Hum Ko Mili Bahte Hue Pani Ke Sath

ye zamin hum ko mili bahte hue pani ke sath

ek samundar par karna hai isi kashti ke sath

umr yunhi to nahin kaTti bagulon ki tarah

KHak uDne ke liye majbur hai aandhi ke sath

jaane kis ummid par hun aabyari mein magan

ek patta bhi nahin sukhi hui Tahni ke sath

main abhi tak rizq chunne mein yahan masruf hun

lauT jate hain parinde sham ki surKHi ke sath

phenk de bahar ki jaanib apne andar ki ghuTan

apni aankhon ko laga de ghar ki har khiDki ke sath

jaan ja sakti hai KHushbu ke taaqub mein 'nawed'

sanp bhi hota hai aksar raat ki rani ke sath

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zamin Hum Ko Mili Bahte Hue Pani Ke Sath In English By Famous Poet Iqbal Naved. Ye Zamin Hum Ko Mili Bahte Hue Pani Ke Sath is written by Iqbal Naved. Read famous Poem Ye Zamin Hum Ko Mili Bahte Hue Pani Ke Sath for youth and Student by Iqbal Naved. Free Download Ye Zamin Hum Ko Mili Bahte Hue Pani Ke Sath in PDF.