Raat Bhar Koi Na Darwaza Khula
raat bhar koi na darwaza khula
dastaken deti rahi pagal hawa
waqt bhi pahchan se munkir raha
dhund mein lipTa raha ye aaina
koi bhi KHwahish na puri ho saki
raste mein luT gaya ye qafila
wo parinda hun jise hote hi sham
bhul jae apne ghar ka rasta
ham-safar sab ajnabi hote gae
jaise jaise rasta kaTta gaya
hum kinare aa lage thak kar 'nawed'
aur dariya umr bhar chalta raha
(837) Peoples Rate This