Agarche Par Kaghaz Ki Kabhi Kashti Nahin Jati
agarche par kaghaz ki kabhi kashti nahin jati
magar apni ye majburi ki KHush-fahmi nahin jati
KHuda jaane gireban kis ke hain aur hath kis ke hain
andhere mein kisi ki shakl pahchani nahin jati
meri KHwahish hai duniya ko bhi apne sath le aaun
bulandi ki taraf lekin kabhi pasti nahin jati
KHayalon mein hamesha us ghazal ko gungunata hun
ki jo kaghaz ke chehre par kabhi likkhi nahin jati
wahi raste wahi raunaq wahi hain aam se chehre
'nawed' aankhon ki lekin phir bhi hairani nahin jati
(796) Peoples Rate This