Sal Nau Ke Liye Ek Nazm

duaen aur duaon se bhari

be-ant tahriren

mujhe har sal ke in aaKHiri

lamhon mein milti hain

mere ahbab ke namon mein

aksar darj hota hai

KHuda mahfuz rakkhe

sal bhar mujh ko balaon se

mujhe zahr ab main lipTi hawaen

chhu ke na guzrin

mujhe maujud aur aane wale

sal ke lamhe

mubarak dar mubarak hon

yahi tahrir main ahbab ko

wapas luTata hun

yahi jazbaat mere doston

ke nam hote hain

magar phir waqt ke hathon

na jaane kya guzarti hai

ki jo bhi tir aata hai

usi jaanib se aata hai

jahan se itr mein Duba hua

paigham aaya tha

jahan se sal bhar

mahfuz rahne ka

hasin malfuf

mere nam aaya tha

(764) Peoples Rate This

Iqbal Naazir's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Sal Nau Ke Liye Ek Nazm In English By Famous Poet Iqbal Naazir. Sal Nau Ke Liye Ek Nazm is written by Iqbal Naazir. Read famous Poem Sal Nau Ke Liye Ek Nazm for youth and Student by Iqbal Naazir. Free Download Sal Nau Ke Liye Ek Nazm in PDF.