Nagar Mein Rahte The Lekin Gharon Se Dur Rahe
nagar mein rahte the lekin gharon se dur rahe
ajib log the jo dilbaron se dur rahe
duaen mangte phirte hain log galiyon mein
mata-e-hosh hamare saron se dur rahe
ye log kimiya-gar hain parakh na len hum ko
ye baat soch ke wo be-zaron se dur rahe
mata-e-dard luTate rahe zamane mein
hum ahl-e-dard the saudagaron se dur rahe
girun zamin pe main TuT kar sitara sa
magar sukun ki KHwahish paron se dur rahe
nikal ke KHud se shanasai ki nazar DhunDo
jo log ghar mein rahe dusron se dur rahe
badan hai shishe ke manind waqt ka iqbaal
use batao ki hum pattharon se dur rahe
(825) Peoples Rate This