Na Koi Ghair Na Apna Dikhai Deta Hai
na koi ghair na apna dikhai deta hai
har aadmi mujhe tujh sa dikhai deta hai
rawish rawish tere qadmon ke naqsh milte hain
gali gali tera chehra dikhai deta hai
shab-e-firaq ki tarikiyon ka haal na puchh
charagh-e-mah bhi andha dikhai deta hai
ajib rang-e-bahaaran hai ab ke gulshan mein
na koi phul na ghuncha dikhai deta hai
utar ke dekh zara pyar ke samundar mein
ki mauj mauj mein rasta dikhai deta hai
kahan kahan pe jalaun dil-o-nazar ke charagh
har ek ghar mein andhera dikhai deta hai
usi ka zahr hai hathon mein aaj tak 'iqbaal'
wo ek phul jo pyara dikhai deta hai
(860) Peoples Rate This