Jab ShaKH-e-tamanna Pe Koi Phul Khila Hai
jab shaKH-e-tamanna pe koi phul khila hai
ummid ke sahraon mein tufan uTha hai
tu meri nigahon mein jise DhunDh raha hai
wo husn mere sher ke parde mein chhupa hai
tham tham ke chamakte rahe palkon pe sitare
ruk ruk ke tere dard ka afsana kaha hai
apne hi muqaddar ka koi phul na jaga
ek umr bahaaron ne lahu mera piya hai
is tarah se badli hai gulistan ki haqiqat
shabnam ke KHunuk jism pe shaalon ki rida hai
shayad hai wahi meri mohabbat ka hayula
ek saya jo chup-chap dariche mein khaDa hai
taKHliq isi se hui naghmat ki duniya
'iqbaal' ko jo gham teri KHushiyon se mila hai
(804) Peoples Rate This