Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ee5a715a8a9a617c4814f691019238ae, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kitne Hi Log Dil Talak Aa Kar Guzar Gae - Iqbal Mateen Poetry In English - Darsaal

Kitne Hi Log Dil Talak Aa Kar Guzar Gae

kitne hi log dil talak aa kar guzar gae

hum apni lash aap uTha kar guzar gae

wo yurish alam thi ki teri gali se hum

tujh ko bhi apne ji se bhula kar guzar gae

ahl-e-KHirad fasanon ke unwan bane rahe

ahl-e-junun fasane suna kar guzar gae

is ehtiyat-e-dard ki wahshat ki hum kabhi

KHud ko teri nazar se chhupa kar guzar gae

tu hi mila na hum hi mile apne aap ko

sae se darmiyan mein aa kar guzar gae

ab to batao hum ko kahan jaoge 'matin'

wo kaun the jo aag laga kar guzar gae

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Hi Log Dil Talak Aa Kar Guzar Gae In English By Famous Poet Iqbal Mateen. Kitne Hi Log Dil Talak Aa Kar Guzar Gae is written by Iqbal Mateen. Read famous Poem Kitne Hi Log Dil Talak Aa Kar Guzar Gae for youth and Student by Iqbal Mateen. Free Download Kitne Hi Log Dil Talak Aa Kar Guzar Gae in PDF.