Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b5b7c41a2975cbbb31f62f7130faa315, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Wo Lab-e-nazuk Se Kuchh Irshad Karenge - Iqbal Mateen Poetry In English - Darsaal

Jab Wo Lab-e-nazuk Se Kuchh Irshad Karenge

jab wo lab-e-nazuk se kuchh irshad karenge

hum ai dil-e-marhum tujhe yaad karenge

ab to ye taqaze hain kisi dushman-e-jaan ke

tum uf na karoge bhi to bedad karenge

hum aap jala lenge sarishk-e-sar-e-mizhgan

ab aap kahan tak sitam ijad karenge

ek dil ke ujaD jaane ka gham ho to kahan tak

aao ki gham-e-dil hi ko aabaad karenge

hum ahl-e-wafa teri jafaon pe jo chup hain

ji lenge to apne hi se fariyaad karenge

ye mez ye kursi ye kitaben ye khula-pan

chup chup se kisi shaKHs ko sab yaad karenge

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Wo Lab-e-nazuk Se Kuchh Irshad Karenge In English By Famous Poet Iqbal Mateen. Jab Wo Lab-e-nazuk Se Kuchh Irshad Karenge is written by Iqbal Mateen. Read famous Poem Jab Wo Lab-e-nazuk Se Kuchh Irshad Karenge for youth and Student by Iqbal Mateen. Free Download Jab Wo Lab-e-nazuk Se Kuchh Irshad Karenge in PDF.