Chashm-e-KHana Maqam-e-dard Ka Hai
chashm-e-KHana maqam-e-dard ka hai
har nazare pe nam dard ka hai
sarhad-e-jaan talak qalam-rau dil
is se aage nizam dard ka hai
be-talab jurat-e-huzuri kya
ashk adna ghulam dard ka hai
dam-ba-KHud tab-e-did zoam-e-suKHan
KHamushi se kalam dard ka hai
ruh ke gham-kade pe qahr-e-sukut
asar-e-intiqam dard ka hai
ek dhaDkan pe ek hashr uThaen
chup jo hain ehtiram dard ka hai
bujh gain wo ghazal aankhen bhi
jin se tabinda nam dard ka hai
KHushk aankhon se KHushk daman tak
ye safar gam gam dard ka hai
sar-e-mizhgan-e-surmagin larzan
tair-e-zer-e-dam dard ka hai
(829) Peoples Rate This