Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f40f79a7396ba793f8b7d9d194f0eb58, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Band Aankhon Mein Sara Tamasha Dekh Raha Tha - Iqbal Khusro Qadri Poetry In English - Darsaal

Band Aankhon Mein Sara Tamasha Dekh Raha Tha

band aankhon mein sara tamasha dekh raha tha

rasta rasta mera rasta dekh raha tha

kali raat aur kale tare kala chanda

dharti ka na-bina laDka dekh raha tha

TuTi-phuTi qabren dhundle dhundle katbe

har katbe mein apna chehra dekh raha tha

miTTi dene wale hathon ko ye KHabar kya

kis hasrat se zarra zarra dekh raha tha

rag rag fart-e-dahshat se sukhi jati thi

parchhain se KHun ubalta dekh raha tha

sukhe patton par jalti shabnam ke qatre

ThanDa suraj sahma sahma dekh raha tha

chupke se haijaan uTha kar pyasa qatra

tughyani par aai nadiya dekh raha tha

ehsasat ki TuTti sarhad par main 'KHusraw'

KHwab se aage bhi jo kuchh tha dekh raha tha

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Band Aankhon Mein Sara Tamasha Dekh Raha Tha In English By Famous Poet Iqbal Khusro Qadri. Band Aankhon Mein Sara Tamasha Dekh Raha Tha is written by Iqbal Khusro Qadri. Read famous Poem Band Aankhon Mein Sara Tamasha Dekh Raha Tha for youth and Student by Iqbal Khusro Qadri. Free Download Band Aankhon Mein Sara Tamasha Dekh Raha Tha in PDF.