BaKHshe Na Gae Ek Ko BaKHsha Na Kabhi

baKHshe na gae ek ko baKHsha na kabhi

raste pe magar aai ye duniya na kabhi

lachaar KHud apna hi qasida likkha

qabil koi mizan pe utra na kabhi

gardan bhi reaya ki jhukae rakkhi

uThne diya ehsan ka palDa na kabhi

bharte hi rahe sud mein ek ek dhaDkan

mansuKH kiya dard ka sauda na kabhi

ab kis ko pata baam pe chehra tha ki chand

koi sar uThae hue guzra na kabhi

banu-e-saba KHak-nashin par bhi nigah

nachiz pe karna paDe takiya na kabhi

parchhaiyon ki jang thi KHun ka dariya

ham-zad rajaz-KHwan hua aisa na kabhi

phenk aao KHalaon mein shikasta kashkol

is burj mein Thahrega sitara na kabhi

jab saya bhi shishe ki tarah TuT gaya

diwar ne dekha ye tamasha na kabhi

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaKHshe Na Gae Ek Ko BaKHsha Na Kabhi In English By Famous Poet Iqbal Khusro Qadri. BaKHshe Na Gae Ek Ko BaKHsha Na Kabhi is written by Iqbal Khusro Qadri. Read famous Poem BaKHshe Na Gae Ek Ko BaKHsha Na Kabhi for youth and Student by Iqbal Khusro Qadri. Free Download BaKHshe Na Gae Ek Ko BaKHsha Na Kabhi in PDF.