Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_692aa0cddec775c70d909afb37e8a34e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhon Ke Charagh Warte Hain - Iqbal Khusro Qadri Poetry In English - Darsaal

Aankhon Ke Charagh Warte Hain

aankhon ke charagh warte hain

aa teri nazar utarte hain

chullu bhar KHun bhik mil jae

hum kasa-e-sar pasarte hain

rakhte nahin sada safha-e-dil

naKHun ke naqsh ubhaarte hain

har raat difa-e-shahr-e-jaan ko

haari hui fauj utarte hain

mehnat se basa diya hai sahra

ab ghar ki taraf sidhaarte hain

bante hain lakiren kali nili

kaghaz ki jabin singhaarte hain

rota hai koi kisi ke gham mein

sab apne hi dukh bichaarte hain

jaisi ki guzar rahi hai 'KHusraw'

kuchh is se alag guzarte hain

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ke Charagh Warte Hain In English By Famous Poet Iqbal Khusro Qadri. Aankhon Ke Charagh Warte Hain is written by Iqbal Khusro Qadri. Read famous Poem Aankhon Ke Charagh Warte Hain for youth and Student by Iqbal Khusro Qadri. Free Download Aankhon Ke Charagh Warte Hain in PDF.