Muzahimaton Ke Ahd-nigar
un se kahna ki wo
apni is jang mein
ab akele nahin
aaj ki jang sab ki hai
aur sare waqton ki hai
apne apne mahazon ki dahliz par
hum bhi morcha-band aur saf-ba-saf un ke ham-dosh hain
hum ki KHamosh hain
hum ki KHamosh hain ketli ka talatum nahin
chiKHne ke hunar-shanasa nahin
be-mahal halq-bazon
andhere ke af-af-zanon ki tarah
un se kahna
ki hum lamhe lamhe ke hamra dhaDakte hue
apne hone ki har shakl par
KHud gawahi bane
aaj ki jang mein
un ke ham-dosh hain
aur sar-e-sina-o-dosh tanba na loha magar hum nihatte nahin
amn bhi hain mohabbat bhi hum
razm bhi dars-e-ibrat bhi hum
sidq ke zor se
fikr ki kaT aur dard ki dhaar se lais shamshir-e-KHama siper-e-lauh hum
un se kahna
ki jo aaj ki jang wo laD rahe hain
wo sab ki hai aur sare waqton ki
aur un ki tarah
hum bhi is jang mein
apne apne mahazon pe parcham-kusha
in ke ham-dosh hain
apne aadarsh ki chaukiyon ke nigah-dar ghafil nahin
garche KHamosh hain
(983) Peoples Rate This