Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_14dc8521a6058de467dbd8ce0c97b59d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri KHak Usne Bikher Di Sar-e-rah Ghubar Bana Diya - Iqbal Kausar Poetry In English - Darsaal

Meri KHak Usne Bikher Di Sar-e-rah Ghubar Bana Diya

meri KHak us ne bikher di sar-e-rah ghubar bana diya

main jab aa saka na shumar mein mujhe be-shumar bana diya

tera naqsh utra sar-e-waraq to tasarruf-e-lab-o-chashm se

bhare rang main ne kuchh is tarah ise shahkar bana diya

tere juzw juzw KHayal ko rag-e-jaan mein pura utar kar

wo jo bar bar ki shakl thi use ek bar bana diya

mujhe nang-e-naqsh hi kab kiya bharin us ne aisi siyahiyan

ki mere hi kucha o shahr mein mujhe ishtihaar bana diya

ye nahin ki us ne durida-tan sar-e-naKHl-e-KHar piro diya

meri dhajjiyon ko bhi khinch kar mujhe tar tar bana diya

(912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri KHak Usne Bikher Di Sar-e-rah Ghubar Bana Diya In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Meri KHak Usne Bikher Di Sar-e-rah Ghubar Bana Diya is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Meri KHak Usne Bikher Di Sar-e-rah Ghubar Bana Diya for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Meri KHak Usne Bikher Di Sar-e-rah Ghubar Bana Diya in PDF.