Main Dar Pe Tere Dar-ba-dari Se Nikal Aaya
main dar pe tere dar-ba-dari se nikal aaya
chal kar ba-durusti ghalati se nikal aaya
ab masala ye hai tere mahwar mein kab utrun
main apni hadon se to kabhi se nikal aaya
kab mujh ko nikalna tha ye hairat hai falak ko
maidan-e-zamin mein main abhi se nikal aaya
is tira-shabi mein kisi jugnu ki chamak hai
ya jugnu KHud is tira-shabi se nikal aaya
ai arsh-e-moalla ke makin tujh ko KHabar hai
main teri taraf be-KHabari se nikal aaya
dhyan aaya mujhe raat ki tanha-safari ka
yak-dam koi saya sa gali se nikal aaya
sau pech-e-rah-e-rahbari tha ki main jis se
apne hunar-e-rahrawi se nikal aaya
wo lamha-e-awwal ki tu jab aankh mein utra
wo waqt bhi kya tha ki ghaDi se nikal aaya
(947) Peoples Rate This