Karen Hijrat To KHak-e-shahr Bhi Juz-dan Mein Rakh Len
karen hijrat to KHak-e-shahr bhi juz-dan mein rakh len
chalen ghar se to ghar kya yaad bhi saman mein rakh len
hamara kya ki gul ko noch kar takrim bhi de den
sahife mein saja den ya kisi gul-dan mein rakh len
ziyan-e-dil hi is bazar mein sud-e-mohabbat hai
yahan hai faeda KHud ko agar nuqsan mein rakh len
bahut tarsi hai duniya tere hashr-e-ru-numai ko
bata ab ye talab hum aur kis imkan mein rakh len
hamara kufr ye hai harf aata ho jahan tujh par
hamin to hain jo teri aabru iman mein rakh len
aman ki ek hi surat hai ab is be-yaqini mein
parind-e-ghaar! hum bhi jaan teri jaan mein rakh len
Dhale jab tak na shab hum kaDh kar ek shama ki lau se
tulu-e-subh ka manzar na raushan-dan mein rakh len?
(911) Peoples Rate This