Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_01cc64e08207f800cd7b7e553fb4955b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kahish-e-gham Ne Jigar KHun Kiya Andar Se - Iqbal Kausar Poetry In English - Darsaal

Kahish-e-gham Ne Jigar KHun Kiya Andar Se

kahish-e-gham ne jigar KHun kiya andar se

hum ne bahar bhi yahi zahr piya andar se

zinda lagta hun to ye fan hai mere sahir ka

in nigahon ne mujhe khinch liya andar se

wo bhi ro ro ke bujha Dala hai ab aankhon ne

raushni deta tha jo ek diya andar se

mizha-e-multafit-e-yar hai badnam abas

us ne to dil ka bas ek chaak siya andar se

koi bahar bhi to dekhe meri gulgun ashk

dil ki pur-KHuni ne kya rang kiya andar se

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahish-e-gham Ne Jigar KHun Kiya Andar Se In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Kahish-e-gham Ne Jigar KHun Kiya Andar Se is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Kahish-e-gham Ne Jigar KHun Kiya Andar Se for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Kahish-e-gham Ne Jigar KHun Kiya Andar Se in PDF.