Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d20e48eeff4ce8f2003dacbf14fd9f08, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jis Tarah Log KHasare Mein Bahut Sochte Hain - Iqbal Kausar Poetry In English - Darsaal

Jis Tarah Log KHasare Mein Bahut Sochte Hain

jis tarah log KHasare mein bahut sochte hain

aaj kal hum tere bare mein bahut sochte hain

kaun haalat ki sochon ke tamawwuj mein nahin

hum bhi bah kar isi dhaare mein bahut sochte hain

hunar-e-kuza-gari ne inhen baKHshi hai tarash

ya ye sab naqsh the gare mein bahut sochte hain

dhyan dharti ka nikalta hi nahin hai dil se

jab se utre hain sitare mein bahut sochte hain

ab mohabbat mein bhi 'iqbaal' hamari auqat

kyun nahin apne guzare mein bahut sochte hain

(1774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Tarah Log KHasare Mein Bahut Sochte Hain In English By Famous Poet Iqbal Kausar. Jis Tarah Log KHasare Mein Bahut Sochte Hain is written by Iqbal Kausar. Read famous Poem Jis Tarah Log KHasare Mein Bahut Sochte Hain for youth and Student by Iqbal Kausar. Free Download Jis Tarah Log KHasare Mein Bahut Sochte Hain in PDF.