Abhi Mera Aaftab Ufuq Ki Hudud Se Aashna Nahin Hai
abhi mera aaftab ufuq ki hudud se aashna nahin hai
meri bhi shab ki sahar hai lekin numud se aashna nahin hai
khule kisi ke shuur par to mujhe bhi us ka suragh de de
ki mera jauhar hunuz apne wajud se aashna nahin hai
ghazab hai fitrat ka dasht-o-kohsar mein nawa-e-sukut bharna
magar wo kya sun sakega jo is surud se aashna nahin hai
main kis guman par kahun zamane mein mera aaghaz ho chuka hai
ki mera lamha abhi tak apne warud se aashna nahin hai
KHabar nahin karobar-e-ulfat mein ja rahi hai kidhar tabiat
ziyan se rakhti nahin taaruf ki sud se aashna nahin hai
dila raha hun main us ko ehsas us ki pahli rafaqaton ka
jo aaj 'iqbaal' meri bud-o-nabud se aashna nahin hai
(1060) Peoples Rate This