Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5baf69b4d21ab29dee67eaf269b77d99, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yahi Nahin Ki Nigahon Ko Ashk-bar Kiya - Iqbal Kaifi Poetry In English - Darsaal

Yahi Nahin Ki Nigahon Ko Ashk-bar Kiya

yahi nahin ki nigahon ko ashk-bar kiya

tere firaq mein daman bhi tar tar kiya

mata-e-ishq yahi hasil-e-hayat yahi

KHulus nazar kiya aur dil nisar kiya

yahi bas ek KHata wajh-e-be-qarari thi

jo reg-zar mein baran ka intizar kiya

zar-e-bayan se muzayyan nuqush-e-husn kiye

mata-e-harf ko midhat-sara-e-yar kiya

palaT ke aa gae nale jo aasmanon se

KHuda ko chhoD diya kufr iKHtiyar kiya

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Nahin Ki Nigahon Ko Ashk-bar Kiya In English By Famous Poet Iqbal Kaifi. Yahi Nahin Ki Nigahon Ko Ashk-bar Kiya is written by Iqbal Kaifi. Read famous Poem Yahi Nahin Ki Nigahon Ko Ashk-bar Kiya for youth and Student by Iqbal Kaifi. Free Download Yahi Nahin Ki Nigahon Ko Ashk-bar Kiya in PDF.