Wo Aa Rahe Hain Wo Ja Rahe Hain Mere Tasawwur Pe Chha Rahe Hain
wo aa rahe hain wo ja rahe hain mere tasawwur pe chha rahe hain
kabhi hain dil mein kabhi jigar mein kabhi nazar mein sama rahe hain
junun-nawazi hai meri fitrat isi se hasil hai mujh ko rahat
jo mujh se hosh-o-KHirad ne chhina junun ke sadqe wo pa rahe hain
jigar ko rokun ya dil ko thamun ilahi kis kis ko main sambhaalun
mere tasawwur ki anjuman mein wo aaj ban-Than ke aa rahe hain
lagai dil mein kuchh aisi tu ne ye aatish-e-sozish-e-mohabbat
bhaDak rahi hai ye utna paiham hum us ko jitna bujha rahe hain
ye rah-e-ulfat ki Thokaren hain inhen na manzil samajh ke Thahro
qadam baDhao wo qafila hai tumhaare sathi bula rahe hain
hain rahrawan-e-rah-e-mohabbat nirali rasmen nirali fitrat
jahan luTa karwan-e-ulfat wahin pe manzil bana rahe hain
na hum ko sher-o-suKHan se matlab na ishrat-e-anjuman se matlab
kisi ko 'iqbaal' dastan-e-gham-e-mohabbat suna rahe hain
(841) Peoples Rate This