Nigahon Se Meri Nigahen Bachae
nigahon se meri nigahen bachae
chale aa rahe hain wo tufan uThae
lahu dil ka ashkon mein kyun aa na jae
kahan tak koi raaz-e-ulfat chhupae
usi ki hai duniya usi ka zamana
jo sab kuchh haTa kar kabhi kuchh na pae
abhi kuchh hai baqi nishan-e-nasheman
kaho barq se aur abhi zulm Dhae
chale aaenge KHud wo betab ho kar
junun-e-mohabbat mera baDh to jae
nirale hain rasm-o-riwaj-e-mohabbat
wahi par hota hai jo Dub jae
raha ek aalam na 'iqbaal' apna
kabhi ro diye to kabhi muskurae
(769) Peoples Rate This