Meri Nazar Se Jo Nazren Bachae BaiThe Hain
meri nazar se jo nazren bachae baiThe hain
KHabar bhi hai unhen kya gul khilae baiThe hain
hazar bar jale jis se baal-o-par apne
usi charagh se hum lau lagae baiThe hain
jo shaKH shoKHi-e-barq-e-tapan se hai manus
usi pe aaj nasheman banae baiThe hain
phir us ke wada-e-farda ka ho yaqin kaise
hazar bar jise aazmae baiThe hain
shab-e-firaq ki hum tirgi se ghabra kar
charagh-e-zaKHm-e-gham-e-dil jalae baiThe hain
use hijab kahun ya kahun pashemani
mere mazar pe wo sar jhukae baiThe hain
hum ek qatra-e-qalb-e-hazin mein ai 'iqbaal'
gham-e-hayat ke tufan chhupae baiThe hain
(755) Peoples Rate This