Dil-e-muztar Ko Hum Kuchh Is Tarah Samjhae Jate Hain
dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain
ki wo bas aa rahe hain aa hi pahunche aae jate hain
nigah-e-shauq ke parwarda nazzaron ki mahfil mein
ye dil bahle na bahle han magar bahlae jate hain
ba-zahir to bahut nazuk hain dil ahl-e-mohabbat ke
yahi shishe kabhi patthar se bhi Takrae jate hain
hansa karte the sun kar dastan-e-qais bachpan mein
jawan ho kar isi qissa ko hum dohrae jate hain
wo duzdida nigahen hon ki KHanjar-azma abru
mohabbat ki har ek manzil pe rahzan pae jate hain
bhari mahfil mein sab se hain muKHatab be-hijabana
magar bas ek hum hain jin se wo sharmae jate hain
KHayal-e-ujrat-e-mauhum par 'iqbaal' duniya mein
ye hum se zindagi ke bojh kyun uThwae jate hain
(674) Peoples Rate This