Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_19cde22bf900a051c5c4545fa27eb924, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Marg-e-gul Se Peshtar - Iqbal Haider Poetry In English - Darsaal

Marg-e-gul Se Peshtar

sab dariche band hain tum kuchh kaho

tum samajhte ho gareban-chaak hun

main to andoh-e-samaat ke jarasimon se

bilkul pak hun

nala-e-bebak hun

sab dariche band hain tum kuchh kaho

tum samajhte ho ki binai gai

bujh gaya har rauzan-e-diwar chup hai raushni

nim-wa hai tirgi

ye shaguft-e-ghuncha-e-lab ki sada

wo hasin qaus-e-quzah rangin-qaba

dhaDkanon ka silsila

sab dariche band hain tum kuchh kaho

tum samajhte ho ki sari ungliyan patthar ki hain

kyun qalam ke KHushk honTon se

koi kaghaz chhuen

ism-e-azam ki likhen

sab dariche band hain tum kuchh kaho

tum samajhte ho ki KHwabon mein KHayalon ko liye

laDkhaDaenge hamesha wasl ki KHwahish mein

yunhi bin piye

apne honTon ko siye

main samajhta hun ai mere chaara-gar

marg-e-gul se peshtar

ek siyah shoala sa karta hai tawaf-e-bu-e-jaan

lekin ai jaan-e-jahan

chhu angusht-e-shahadat se koi nok-e-sinan

main likhunga tere chehre par wo anmiT dastan

zindagi sach bol de

jo sab dariche khol de

zindagi sach bol de

(966) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marg-e-gul Se Peshtar In English By Famous Poet Iqbal Haider. Marg-e-gul Se Peshtar is written by Iqbal Haider. Read famous Poem Marg-e-gul Se Peshtar for youth and Student by Iqbal Haider. Free Download Marg-e-gul Se Peshtar in PDF.