Samundar Ke Kinare Ek Samundar Aadamiyon Ka
samundar ke kinare ek samundar aadamiyon ka
hamare shahr mein rahta hai lashkar aadamiyon ka
wahi sina-figari hai wahi be-e'tibari hai
badalta hi nahin hai yan muqaddar aadamiyon ka
zamin se aasman tak chha rahi hai KHun ki surKHi
chhupa hai KHair ke parde mein bhi shar aadamiyon ka
qayamat se bahut pahle qayamat kyun na ho barpa
jhuka hai aadmi ke samne sar aadamiyon ka
faqat chehre hi ab gard-e-kudurat se nahin dhundle
dilon ka aaina bhi hai mukaddar aadamiyon ka
zamin yunhi rahi gar be-gunahon ke lahu se tar
hawa ho jaega ek din samundar aadamiyon ka
(1152) Peoples Rate This