Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3ae3ded30c01a81b1e0132b213ad561f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya - Iqbal Haider Poetry In English - Darsaal

Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya

khoe gae to aaine ko mo'atabar kiya

hum ne teri talash mein apna safar kiya

be-ghar musafiron ke muqaddar mein KHak hai

so hum ne gard-e-rah ko diwar-o-dar kiya

us markaz-e-jamal ke hum bhi asir hain

jis markaz-e-jamal ne har dil mein ghar kiya

shahr-e-wafa KHamosh hai patthar bane baghair

kaisa fareb-e-koh-e-nida ne asar kiya

bazu sameTte hain daraKHton pe kuchh tuyur

shayad kisi ne tazkira-e-baal-o-par kiya

yaadon ki bhiD mein bhi hai tanhai ham-safar

us ki ho KHair jis ne hamein dar-ba-dar kiya

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya In English By Famous Poet Iqbal Haider. Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya is written by Iqbal Haider. Read famous Poem Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya for youth and Student by Iqbal Haider. Free Download Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya in PDF.