Jo Tere Dard Hain Wahi Sab Mere Dard Hain
jo tere dard hain wahi sab mere dard hain
kahne ko apni apni jagah fard fard hain
dhundla gae hain aks nazar hai bhanwar bhanwar
KHwabon mein bhi KHayal ke aaine gard hain
peshaniyon pe waqt shikan-dar-shikan nahin
chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard hain
ek dusre ko jaan ke pahchante nahin
hum log sare ek qabile ke fard hain
bhigi hatheliyon se na paDh kal ki zindagi
gahri har ek lakir sahi hath sard hain
ye KHushk lab ye panw ke chhaale ye sar ki dhul
hum shahar ki faza mein bhi sahra-naward hain
'iqbaal' jab se phul hain gul-dan ke asir
KHushbu uDi uDi si hai aur rang zard hain
(822) Peoples Rate This