Bujh Gai Dil Ki Kiran Aaina-e-jaan TuTa
bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuTa
par-e-parwaz sameTe to lahu sa phuTa
rasm-e-ashufta-sari mein hain gareban daman
falak-e-pir bata kaun hai sachcha jhuTa
chand suraj hue jate hain dhuen mein ru-posh
jaras-e-waqt kahan aag ka chashma phuTa
marsiyon aur qasidon se bhari hai mahfil
shahr-ashob se har rishta-e-danish TuTa
shajar-e-dard ki har shaKH hai kashkol-numa
sar-kashida hai magar bagh ka buTa buTa
wahi kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaan hai 'iqbaal'
na koi rabt bana aur na rishta TuTa
(1008) Peoples Rate This