Zahr Ke GhunT Bhi Hans Hans Ke Piye Jate Hain
zahr ke ghunT bhi hans hans ke piye jate hain
hum bahar-haal saliqe se jiye jate hain
ek din hum bhi bahut yaad kiye jaenge
chand afsane zamane ko diye jate hain
hum ko duniya se mohabbat bhi bahut hai lekin
lakh ilzam bhi duniya ko diye jate hain
bazm-e-aghyar sahi az-rah-e-tanqid sahi
shukr hai hum bhi kahin yaad kiye jate hain
hum kiye jate hain taqlid-e-riwayat-e-junun
aur KHud chaak-e-gireban bhi siye jate hain
gham ne baKHshi hai ye mohtat-mizaji hum ko
zaKHm bhi khate hain aansu bhi piye jate hain
haal ka Thik hai 'iqbaal' na farda ka yaqin
jaane kya baat hai hum phir bhi jiye jate hain
(1644) Peoples Rate This