Zabt Bhi Chahiye Zarf Bhi Chahiye Aur Mohtat Pas-e-wafa Chahiye
zabt bhi chahiye zarf bhi chahiye aur mohtat pas-e-wafa chahiye
zindagi dushmanon mein bhi mushkil nahin aadmi mein zara hausla chahiye
hum ko manzil-shanasi pe bhi naz hai aur hum aashna-e-hawadis bhi hain
ju-e-KHun se guzarna paDe bhi to kya justuju ko to ek rasta chahiye
apne mathe pe bal Dal kar hamein shish-mahlon ke andar se jhiDki na do
hum bhikari nahin hain ki Tal jaenge hum ko apni wafa ka sila chahiye
tum ne aaraish-e-gulistan ke liye hum se kuchh KHun manga tha muddat hui
tum se KHairaat to hum nahin mangte hum ko is KHun ka KHun-baha chahiye
hum ko har moD par dost milte rahe hum kabhi rah-e-manzil mein tanha na the
kal gham-e-dost tha ab gham-e-zist hai aashna ko to ek aashna chahiye
meri mano to ek baat tum se kahun ye naya daur hai is ka kya Thik hai
doston se milo mahfilon mein magar aastinon ka bhi jaeza chahiye
had se baDh kar mohabbat munasib nahin is mein andesha-e-bad-gumani bhi hai
dushmanon se talluq to hai hi ghalat doston mein bhi kuchh fasla chahiye
jurm-e-be-bak-goi ki padash mein zahr 'iqbaal' ko talKHiyon ka mila
us ne is zahr ko hi suKHan kar liya is zamane mein ab aur kya chahiye
(3723) Peoples Rate This