Ye Nigah-e-sharm Jhuki Jhuki Ye Jabin-e-naz Dhuan Dhuan
ye nigah-e-sharm jhuki jhuki ye jabin-e-naz dhuan dhuan
mere bas ki ab nahin dastan mera kanpta hai ruwan ruwan
ye taKHaiyyulat ki zindagi ye tasawwuraat ki bandagi
faqat ek fareb-e-KHayal par meri zindagi hai rawan dawan
mere dil pe naqsh hain aaj tak wo ba-ehtiyat nawazishen
wo ghurur o- zabt ayan ayan wo KHulus o rabt nihan nihan
na safar ba-shart-e-maal hai na talab ba-qaid-e-sawal hai
faqat ek seri-e-zauq ko main bhaTak raha hun kahan kahan
ho tilism-e-alam-e-rang-o-bu ki harim-e-anjum-o-kahkashan
mera sath degi nazar meri wo chhupenge ja ke jahan jahan
meri KHalwaton ki ye jannaten kai bar saj ke ujaD gain
mujhe barha ye hua guman ki tum aa rahe ho kashan kashan
(1903) Peoples Rate This