Tum Ghairon Se Hans Hans Ke Mulaqat Karo Ho
tum ghairon se hans hans ke mulaqat karo ho
aur hum se wahi zahr-bhari baat karo ho
bach bach ke guzar jao ho tum pas se mere
tum to ba-KHuda ghairon ko bhi mat karo ho
nashtar sa utar jawe hai sine mein hamare
jab mathe pe bal Dal ke tum baat karo ho
taqwe bhi bahak jawen hain mahfil mein tumhaari
tum apni in aankhon se karamat karo ho
phulon ki mahak aawe hai sanson mein tumhaari
moti se bikhar jawen hain jab baat karo ho
hum ghairon ke aage tumhein kya haal bataen
pas aa ke suno dur se kya baat karo ho
kya kah ke pukarenge tumhein log ye socho
'iqbaal' pe tum zulm to din raat karo ho
(1994) Peoples Rate This