Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0ab46d0d70ca65582990c19d69d310f3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Naqsh Mazi Ke Jo Baqi Hain MiTa Mat Dena - Iqbal Azeem Poetry In English - Darsaal

Naqsh Mazi Ke Jo Baqi Hain MiTa Mat Dena

naqsh mazi ke jo baqi hain miTa mat dena

ye buzurgon ki amanat hai ganwa mat dena

wo jo razzaq-e-haqiqi hai usi se mango

rizq bar-haq hai kahin aur sada mat dena

bhik mango bhi to bachchon se chhupa kar mango

tum bhikari ho kahin un ko bata mat dena

subh-e-sadiq mein bahut der nahin hai lekin

kahin ujlat mein charaghon ko bujha mat dena

main ne jo kuchh bhi kaha sirf mohabbat mein kaha

mujh ko is jurm-e-mohabbat ki saza mat dena

(1609) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Naqsh Mazi Ke Jo Baqi Hain MiTa Mat Dena In English By Famous Poet Iqbal Azeem. Naqsh Mazi Ke Jo Baqi Hain MiTa Mat Dena is written by Iqbal Azeem. Read famous Poem Naqsh Mazi Ke Jo Baqi Hain MiTa Mat Dena for youth and Student by Iqbal Azeem. Free Download Naqsh Mazi Ke Jo Baqi Hain MiTa Mat Dena in PDF.