Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha Sar-e-bazm Raat Ye Kya Hua
mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
meri aankh kaise chhalak gai mujhe ranj hai ye bura hua
meri zindagi ke charagh ka ye mizaj koi naya nahin
abhi raushni abhi tirgi na jala hua na bujha hua
mujhe jo bhi dushman-e-jaan mila wahi puKHta-kar-e-jafa mila
na kisi ki zarb ghalat paDi na kisi ka tir KHata hua
mujhe aap kyun na samajh sake ye KHud apne dil hi se puchhiye
meri dastan-e-hayat ka to waraq waraq hai khula hua
jo nazar bacha ke guzar gae mere samne se abhi abhi
ye mere hi shahr ke log the mere ghar se ghar hai mila hua
hamein is ka koi bhi haq nahin ki sharik-e-bazm-e-KHulus hon
na hamare pas naqab hai na kuchh aastin mein chhupa hua
mujhe ek gali mein paDa hua kisi bad-nasib ka KHat mila
kahin KHun-e-dil se likha hua kahin aansuon se miTa hua
mujhe ham-safar bhi mila koi to shikasta-haal meri tarah
kai manzilon ka thaka hua kahin raston mein luTa hua
hamein apne ghar se chale hue sar-e-rah umr guzar gai
koi justuju ka sila mila na safar ka haq hi ada hua
(3449) Peoples Rate This