Kuchh Aise ZaKHm Bhi Dar-parda Humne Khae Hain
kuchh aise zaKHm bhi dar-parda hum ne khae hain
jo hum ne apne rafiqon se bhi chhupae hain
ye kya bataen ki hum kya ganwa ke aae hain
bas ek zamir ba-mushkil bacha ke lae hain
ab aa gae hain to pyase na jaenge saqi
kuchh aaj soch ke hum mai-kade mein aae hain
koi hawaon se kah do idhar ka ruKH na kare
charagh hum ne samajh-bujh kar jalae hain
jahan kahin bhi sada di yahi jawab mila
ye kaun log hain puchho kahan se aae hain
chaman mein dekhiye ab ke hawa kidhar ki chale
KHizan-nasibon ne phir aashiyan banae hain
safar pe nikle hain hum pure ehtimam ke sath
hum apne ghar se kafan sath le ke aae hain
unhen parae charaghon se kya gharaz 'iqbaal'
jo apne ghar ke diye KHud bujha ke aae hain
(1385) Peoples Rate This