Jis Anjuman Mein Dekho Begane Rah Gae Hain
jis anjuman mein dekho begane rah gae hain
ginti ke log jaane pahchane rah gae hain
kal jin haqiqaton se mahaul mo'atabar tha
aaj un haqiqaton ke afsane rah gae hain
ab ghaarat-e-chaman mein kya rah gaya hai baqi
kuchh pairahan-darida diwane rah gae hain
tariKH-e-ahd-e-rafta bil-iKHtisar ye hai
gulshan jahan jahan the virane rah gae hain
'iqbaal' DhunDhte ho tum jin ko mahfilon mein
un ki jagah ab un ke afsane rah gae hain
(2382) Peoples Rate This